Jigar Moradabadi

naqab-e-husn-e-do-alam uThai jati hai

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
naqāb-e-husn-e-do-ālam uThā.ī jaatī hai
mujhī ko merī tajallī dikhā.ī jaatī hai
qadam qadam mirī himmat baḌhā.ī jaatī hai
nafas nafas tirī aahaT sī paa.ī jaatī hai
vo ik nazar jo ba-mushkil uThā.ī jaatī hai
vahī nazar rag-o-pai meñ samā.ī jaatī hai
sukūñ hai maut yahāñ zauq-e-justujū ke liye
ye tishnagī vo nahīñ jo bujhā.ī jaatī hai
ḳhudā vo dard-e-mohabbat har ek ko baḳhshe
ki jis meñ ruuh kī taskīn bhī paa.ī jaatī hai
vo mai-kada hai tirī anjuman ḳhudā rakkhe
jahāñ ḳhayāl se pahle pilā.ī jaatī hai
tire huzūr ye kyā vārdāt-e-qalb hai aaj
ki jaise chāñd pe badlī sī chhā.ī jaatī hai
tujhe ḳhabar ho to itnī na fursat-e-ġham de
ki terī yaad bhī aksar satā.ī jaatī hai
vo chiiz kahte haiñ firdaus-e-gum-shuda jis ko
kabhī kabhī tirī āñkhoñ meñ paa.ī jaatī hai
qarīb manzil-e-āḳhir hai al-firāq 'jigar'
safar tamām huā niiñd aa.ī jaatī hai
Top Urdushayar.com