Jigar Moradabadi

kisi surat numud-e-soz-e-pinhani nahin jati

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
kisī sūrat numūd-e-soz-e-pinhānī nahīñ jaatī
bujhā jaatā hai dil chehre kī tābānī nahīñ jaatī
nahīñ jaatī kahāñ tak fikr-e-insānī nahīñ jaatī
magar apnī haqīqat aap pahchānī nahīñ jaatī
nigāhoñ ko ḳhizāñ-nā-āshnā banñā to aa jaa.e
chaman jab tak chaman hai jalva-sāmānī nahīñ jaatī
pashīmān-e-sitam vo dil hī dil meñ rahte haiñ lekin
ḳhushā husne ki tarz-e-nā-pashīmānī nahīñ jaatī
mizāj-e-ahl-e-dil be-kaif-o-mastī rah nahīñ saktā
ki jaise nik.hat-e-gul se pareshānī nahīñ jaatī
sadāqat ho to dil sīnoñ se khiñchne lagte haiñ vaa.iz
haqīqat ḳhud ko manvā letī hai maanī nahīñ jaatī
bulandī chāhiye insān kī fitrat meñ poshīda
koī ho bhes lekin shān-e-sultānī nahīñ jaatī
ga.e vo din ki dil sarmāya-dār-e-dard-e-paiham thā
magar āñkhoñ kī ab tak mīr-sāmānī nahīñ jaatī
jise raunaq tire qadmoñ ne de kar chhīn lī raunaq
vo laakh ābād ho us ghar kī vīrānī nahīñ jaatī
vo yuuñ dil se guzarte haiñ ki aahaT tak nahīñ hotī
vo yuuñ āvāz dete haiñ ki pahchānī nahīñ jaatī
mujhe to kar diyā sairāb saaqī ne mire lekin
mirī sairābiyoñ kī tishna-sāmānī nahīñ jaatī
nahīñ ma.alūm kis aalam meñ husn-e-yār dekhā thā
koī aalam ho lekin dil kī hairānī nahīñ jaatī
jale jaate haiñ baḌh baḌh kar miTe jaate haiñ gir gir kar
huzūr-e-sham.a parvānoñ kī nādānī nahīñ jaatī
mohabbat meñ ik aisā vaqt bhī dil par guzartā hai
ki aañsū ḳhushk ho jaate haiñ tuġhyānī nahīñ jaatī
'jigar' vo bhī ze-sar-tā-pā mohabbat hī mohabbat haiñ
magar un kī mohabbat saaf pahchānī nahīñ jaatī
Top Urdushayar.com