dil ko miTā ke dāġh-e-tamannā diyā mujhe
ai ishq terī ḳhair ho ye kyā diyā mujhe
mahshar meñ baat bhī na zabāñ se nikal sakī
kyā jhuk ke us nigāh ne samjhā diyā mujhe
maiñ aur ārzū-e-visāl-e-parī-ruḳhāñ
is ishq-e-sāda-lauh ne bahkā diyā mujhe
har baar yaas hijr meñ dil kī huī sharīk
har martaba umiid ne dhokā diyā mujhe
allāh re teġh-e-ishq kī barham-mazāhiyāñ
mere hī ḳhūn-e-shauq meñ nahlā diyā mujhe
ḳhush huuñ ki husn-e-yār ne ḳhud apne haath se
ik dil-fareb dāġh-e-tamannā diyā mujhe
duniyā se kho chukā hai mirā josh-e-intizār
āvāz-e-pā-e-yār ne chauñkā diyā mujhe
da.avā kiyā thā zabt-e-mohabbat kā ai 'jigar'
zālim ne baat baat pe taḌpā diyā mujhe