Jigar Moradabadi

kuchh is ada se aaj wo pahlu-nashin rahe

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
kuchh is adā se aaj vo pahlū-nashīñ rahe
jab tak hamāre paas rahe ham nahīñ rahe
īmān-o-kufr aur na duniyā-o-dīñ rahe
ai ishq-e-shād-bāsh ki tanhā hamīñ rahe
aalam jab ek haal pe qaa.em nahīñ rahe
kyā ḳhaak e'tibār-e-nigāh-e-yaqīn rahe
merī zabāñ pe shikva-e-dard-āfrīñ rahe
shāyad mire havās Thikāne nahīñ rahe
jab tak ilāhī jism meñ jān-e-hazīñ rahe
nazreñ mirī javān raheñ dil hasīñ rahe
yā-rab kisī ke rāz-e-mohabbat kī ḳhair ho
dast-e-junūñ rahe na rahe āstīñ rahe
tā-chand josh-e-ishq meñ dil kī hifāzateñ
merī balā se ab vo junūnī kahīñ rahe
jā aur koī zabt kī duniyā talāsh kar
ai ishq ham to ab tire qābil nahīñ rahe
mujh ko nahīñ qubūl do-ālam kī vus.ateñ
qismat meñ kū-e-yār kī do-gaz zamīñ rahe
ai ishq-e-nālā-kash tirī ġhairat ko kyā huā
hai hai araq araq vo tan-e-nāznīñ rahe
dard-o-ġham-e-firāq ke ye saḳht marhale
hairāñ huuñ maiñ ki phir bhī tum itne hasīñ rahe
allāh-re chashm-e-yār kī mojiz-bayāniyāñ
har ik ko hai gumāñ ki muḳhātib hamīñ rahe
zālim uThā tū parda-e-vahm-o-gumān-o-fikr
kyā sāmne vo marhala-hā-e-yaqīñ rahe
zāt-o-sifāt-e-husn kā aalam nazar meñ hai
mahdūd-e-sajda kyā mirā zauq-e-jabīñ rahe
kis dard se kisī ne kahā aaj bazm meñ
achchhā ye hai vo nañg-e-mohabbat yahīñ rahe
sar-dādgān-e-ishq-o-mohabbat kī kyā kamī
qātil kī teġh tez ḳhudā kī zamīñ rahe
is ishq kī talāfi-e-māfāt dekhnā
rone kī hasrateñ haiñ jab aañsū nahīñ rahe
Top Urdushayar.com