shab-e-firāq hai aur niind aa.ī jaatī hai
kuchh is meñ un kī tavajjoh bhī paa.ī jaatī hai
ye umr-e-ishq yūñhī kyā gañvā.ī jaatī hai
hayāt zinda haqīqat banā.ī jaatī hai
banā banā ke jo duniyā miTā.ī jaatī hai
zarūr koī kamī hai ki paa.ī jaatī hai
hamīñ pe ishq kī tohmat lagā.ī jaatī hai
magar ye sharm jo chehre pe chhā.ī jaatī hai
ḳhudā kare ki haqīqat meñ zindagī ban jaa.e
vo zindagī jo zabāñ tak hī paa.ī jaatī hai
gunāhgār ke dil se na bach ke chal zāhid
yahīñ kahīñ tirī jannat bhī paa.ī jaatī hai
na soz-e-ishq na barq-e-jamāl par ilzām
diloñ meñ aag ḳhushī se lagā.ī jaatī hai
kuchh aise bhī to haiñ rindān-e-pāk-bāz 'jigar'
ki jin ko be-mai-o-sāġhar pilā.ī jaatī hai