Jigar Moradabadi

aaya na ras nala-e-dil ka asar mujhe

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
aayā na raas nāla-e-dil kā asar mujhe
ab tum mile to kuchh nahīñ apnī ḳhabar mujhe
dil le ke mujh se dete ho dāġh-e-jigar mujhe
ye baat bhūlne kī nahīñ umr bhar mujhe
har-sū dikhā.ī dete haiñ vo jalva-gar mujhe
kyā kyā fareb detī hai merī nazar mujhe
miltī nahīñ hai lazzat-e-dard-e-jigar mujhe
bhūlī huī na ho nigah-e-fitnagar mujhe
Daalā hai be-ḳhudī ne ajab raah par mujhe
āñkheñ haiñ aur kuchh nahīñ aatā nazar mujhe
karnā hai aaj hazrat-e-nāseh se sāmnā
mil jaa.e do ghaḌī ko tumhārī nazar mujhe
mastāna kar rahā huuñ rah-e-āshiqī ko tai
le jaa.e jazb-e-shauq mirā ab jidhar mujhe
Dartā huuñ jalva-e-ruḳh-e-jānāñ ko dekh kar
apnā banā na le kahīñ merī nazar mujhe
yaksāñ hai husn-o-ishq kī sar-mastiyoñ kā rañg
un kī ḳhabar unheñ hai na merī ḳhabar mujhe
marnā hai un ke paañv pe rakh kar sar-e-niyāz
karnā hai aaj qissa-e-ġham muḳhtasar mujhe
siine se dil aziiz hai dil se ho tum aziiz
sab se magar aziiz hai terī nazar mujhe
maiñ duur huuñ to rū-e-suḳhan mujh se kis liye
tum paas ho to kyuuñ nahīñ aate nazar mujhe
kyā jāniye qafas meñ rahe kyā mo.āmla
ab tak to haiñ aziiz mire bāl-o-par mujhe
Top Urdushayar.com