Jigar Moradabadi

use haal-o-qal se wasta na gharaz maqam-o-qayam se

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
use hāl-o-qāl se vāsta na ġharaz maqām-o-qayām se
jise koī nisbat-e-ḳhās ho tire husn-e-barq-ḳhirām se
mujhe de rahe haiñ tasalliyāñ vo har ek taaza payām se
kabhī aa ke manzar-e-ām par kabhī haT ke manzar-e-ām se
kyuuñ kiyā rahā jo muqābla ḳhatrāt-e-gām-ba-gām se
sar-e-bām-e-ishq-e-tamām tak rah-e-shauq-e-nīm-tamām se
na ġharaz kisī se na vāsta mujhe kaam apne hī kaam se
tire zikr se tirī fikr se tirī yaad se tire naam se
mire sāqiyā mire sāqiyā tujhe marhabā tujhe marhabā
tū pilā.e jā tū pilā.e jā isī chashm-e-jām-ba-jām se
tirī sub.h-e-aish hai kyā balā tujhe ai falak jo ho hausla
kabhī kar le aa ke muqābla ġham-e-hijr-e-yār kī shaam se
mujhe yuuñ na ḳhaak meñ tū milā maiñ agarche huuñ tirā naqsh-e-pā
tire jalve kī hai baqā mire shauq-e-nām-ba-nām se
tirī chashm-e-mast ko kyā kahūñ ki nazar nazar hai fusūñ fusūñ
ye tamām hosh ye sab junūñ isī ek gardish-e-jām se
ye kitāb-e-dil kī haiñ āyateñ maiñ batā.ūñ kyā jo haiñ nisbateñ
mire sajda-hā-e-davām ko tire naqsh-hā-e-ḳhirām se
mujhe chāhiye vahī sāqiyā jo baras chale jo chhalak chale
tire husn-e-shīsha-ba-dast se tirī chashm-e-bāda-ba-jām se
jo uThā hai dard uThā kare koī ḳhaak us se gilā kare
jise zid ho husn ke zikr se jise chiḌh ho ishq ke naam se
vahīñ chashm-e-hūr phaḌak ga.ī abhī pī na thī ki bahak ga.ī
kabhī yak-ba-yak jo chhalak ga.ī kisī rind-e-mast ke jaam se
tū hazār uzr kare magar hameñ rashk hai aur hī kuchh 'jigar'
tirī iztirāb-e-nigāh se tire ehtiyāt-e-kalām se
Top Urdushayar.com