shab-e-vasl kyā muḳhtasar ho ga.ī
zarā aañkh jhapkī sahar ho ga.ī
nigāhoñ ne sab rāz-e-dil kah diyā
unheñ aaj apnī ḳhabar ho ga.ī
baḌī chiiz hai tarz-e-begānagī
ye tarkīb agar kārgar ho ga.ī
ilāhī burā ho ġham-e-ishq kā
sunā hai ki un ko ḳhabar ho ga.ī
kiye mujh pe ehsāñ ġham-e-yār ne
hamesha ko nīchī nazar ho ga.ī
numāyāñ huī sub.h-e-pīrī 'jigar'
bas ab dāstāñ muḳhtasar ho ga.ī