mohabbat sulh bhī paikār bhī hai
ye shāḳh-e-gul bhī hai talvār bhī hai
tabī.at is taraf ḳhuddār bhī hai
udhar nāzuk mizāj-e-yār bhī hai
adā-e-ishq adā-e-yār bhī hai
bahut saada bahut purkār bhī hai
ye fitne jin se ik duniyā hai nālāñ
inhīñ se garmi-e-bāzār bhī hai
junūñ ke dam se hai nazm-e-do-ālam
junūñ barham-zan-e-afkār bhī hai
nafas par hai madār-e-zindagānī
nafas chaltī huī talvār bhī hai
isī insān meñ sab kuchh hai pinhāñ
magar ye ma.arifat dushvār bhī hai
vo bū-e-gul ki hai jān-e-chaman bhī
qayāmat hai chaman-be-zār bhī hai
yahī duniyā hai nisbat āñsuoñ kī
yahī duniyā tabassum-zār bhī hai
jahāñ vo haiñ vahīñ merā tasavvur
jahāñ maiñ huuñ ḳhayāl-e-yār bhī hai
ḳhabar-dār ai subuk-sārān-e-sāhil
ye sāhil hī kabhī mañjdhār bhī hai
ġhanīmat hai ki is daur-e-havas meñ
tirā milnā bahut dushvār bhī hai
jo koī sun sake to nik.hat-e-gul
shikast-e-rañg kī jhankār bhī hai
un āñkhoñ kī zahe mojaz-bayānī
baham inkār bhī iqrār bhī hai