agar na zohra-jabīnoñ ke darmiyāñ guzre
to phir ye kaise kaTe zindagī kahāñ guzre
jo tere aariz o gesū ke darmiyāñ guzre
kabhī kabhī vahī lamhe balā-e-jāñ guzre
mujhe ye vahm rahā muddatoñ ki jur.at-e-shauq
kahīñ na ḳhātir-e-māsūm par girāñ guzre
har ik maqām-e-mohabbat bahut hī dilkash thā
magar ham ahl-e-mohabbat kashāñ kashāñ guzre
junūñ ke saḳht marāhil bhī terī yaad ke saath
hasīñ hasīñ nazar aa.e javāñ javāñ guzre
mirī nazar se tirī justujū ke sadqe meñ
ye ik jahāñ hī nahīñ saiñkaḌoñ jahāñ guzre
hujūm-e-jalva meñ parvāz-e-shauq kyā kahnā
ki jaise ruuh sitāroñ ke darmiyāñ guzre
ḳhatā-muāf zamāne se bad-gumāñ ho kar
tirī vafā pe bhī kyā kyā hameñ gumāñ guzre
mujhe thā shikva-e-hijrāñ ki ye huā mahsūs
mire qarīb se ho kar vo nā-gahāñ guzre
rah-e-vafā meñ ik aisā maqām bhī aayā
ki ham ḳhud apnī taraf se bhī bad-gumāñ guzre
ḳhulūs jis meñ ho shāmil vo daur-e-ishq-o-havas
na rā.egāñ kabhī guzrā na rā.egāñ guzre
usī ko kahte haiñ jannat usī ko dozaḳh bhī
vo zindagī jo hasīnoñ ke darmiyāñ guzre
bahut hasīn manāzir bhī husn-e-fitrat ke
na jaane aaj tabī.at pe kyuuñ girāñ guzre
vo jin ke saa.e se bhī bijliyāñ laraztī thiiñ
mirī nazar se kuchh aise bhī āshiyāñ guzre
mirā to farz chaman-bandi-e-jahāñ hai faqat
mirī balā se bahār aa.e yā ḳhizāñ guzre
kahāñ kā husn ki ḳhud ishq ko ḳhabar na huī
rah-e-talab meñ kuchh aise bhī imtihāñ guzre
bharī bahār meñ tārāji-e-chaman mat pūchh
ḳhudā kare na phir āñkhoñ se vo samāñ guzre
koī na dekh sakā jin ko vo diloñ ke sivā
muāmlāt kuchh aise bhī darmiyāñ guzre
kabhī kabhī to isī ek musht-e-ḳhāk ke gird
tavāf karte hue haft āsmāñ guzre
bahut hasīn sahī sohbateñ guloñ kī magar
vo zindagī hai jo kāñToñ ke darmiyāñ guzre
abhī se tujh ko bahut nāgavār haiñ hamdam
vo hādsāt jo ab tak ravāñ-davāñ guzre
jinheñ ki dīda-e-shā.ir hī dekh saktā hai
vo inqilāb tire sāmne kahāñ guzre
bahut aziiz hai mujh ko unheñ kyā yaad 'jigar'
vo hādsāt-e-mohabbat jo nā-gahāñ guzre