ishq meñ lā-javāb haiñ ham log
māhtāb āftāb haiñ ham log
garche ahl-e-sharāb haiñ ham log
ye na samjho ḳharāb haiñ ham log
shaam se aa ga.e jo piine par
sub.h tak āftāb haiñ ham log
ham ko dāvā-e-ishq-bāzī hai
mustahiqq-e-azāb haiñ ham log
naaz kartī hai ḳhāna-vīrānī
aise ḳhāna-ḳharāb haiñ ham log
ham nahīñ jānte ḳhizāñ kyā hai
kushtagān-e-shabāb haiñ ham log
tū hamārā javāb hai tanhā
aur terā javāb haiñ ham log
tū hai dariyā-e-husn-o-mahbūbī
shakl-e-mauj-o-habāb haiñ ham log
go sarāpā hijāb haiñ phir bhī
tere ruḳh kī naqāb haiñ ham log
ḳhuub ham jānte haiñ apnī qadr
tere nā-kāmyāb haiñ ham log
ham se ġhaflat na ho to phir kyā ho
rah-rav-e-mulk-e-ḳhvāb haiñ ham log
jāntā bhī hai us ko tū vaa.iz
jis ke mast-o-ḳharāb haiñ ham log
ham pe nāzil huā sahīfa-e-ishq
sāhibān-e-kitāb haiñ ham log
har haqīqat se jo guzar jaa.eñ
vo sadāqat-ma.āb haiñ ham log
jab milī aañkh hosh kho baiThe
kitne hāzir-javāb haiñ ham log
ham se pūchho 'jigar' kī sar-mastī
mahram-e-āñ-janāb haiñ ham log