dāstān-e-ġham-e-dil un ko sunā.ī na ga.ī
baat bigḌī thī kuchh aisī ki banā.ī na ga.ī
sab ko ham bhuul ga.e josh-e-junūñ meñ lekin
ik tirī yaad thī aisī jo bhulā.ī na ga.ī
ishq par kuchh na chalā dīda-e-tar kā qaabū
us ne jo aag lagā dī vo bujhā.ī na ga.ī
paḌ gayā husn-e-ruḳh-e-yār kā partav jis par
ḳhaak meñ mil ke bhī is dil kī safā.ī na ga.ī
kyā uThā.egī sabā ḳhaak mirī us dar se
ye qayāmat to ḳhud un se bhī uThā.ī na ga.ī