Jigar Moradabadi

allah agar taufiq na de insan ke bas ka kaam nahin

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
allāh agar taufīq na de insān ke bas kā kaam nahīñ
faizān-e-mohabbat aam sahī irfān-e-mohabbat aam nahīñ
ye tū ne kahā kyā ai nādāñ fayyāzī-e-qudrat aam nahīñ
tū fikr o nazar to paidā kar kyā chiiz hai jo in.aam nahīñ
yā-rab ye maqām-e-ishq hai kyā go dīda-o-dil nākām nahīñ
taskīn hai aur taskīn nahīñ ārām hai aur ārām nahīñ
kyuuñ mast-e-sharāb-e-aish-o-tarab taklīf-e-tavajjoh farmā.eñ
āvāz-e-shikast-e-dil hī to hai āvāz-e-shikast-e-jām nahīñ
aanā hai jo bazm-e-jānāñ meñ pindār-e-ḳhudī ko toḌ ke aa
ai hosh-o-ḳhirad ke dīvāne yaañ hosh-o-ḳhirad kā kaam nahīñ
zāhid ne kuchh is andāz se pī saaqī kī nigāheñ paḌne lagīñ
mai-kash yahī ab tak samjhe the shā.ista daur-e-jām nahīñ
ishq aur gavārā ḳhud kar le be-shart shikast-e-fāsh apnī
dil kī bhī kuchh un ke sāzish hai tanhā ye nazar kā kaam nahīñ
sab jis ko asīrī kahte haiñ vo to hai amīrī hī lekin
vo kaun sī āzādī hai yahāñ jo aap ḳhud apnā daam nahīñ
Top Urdushayar.com