ye falak ye māh-o-anjum ye zamīn ye zamāna
tire husn kī hikāyat mire ishq kā fasāna
ye hai ishq kī karāmat ye kamāl-e-shā.irāna
abhī muñh se baat niklī abhī ho ga.ī fasāna
ye mirā payām kahnā tū sabā muaddabāna
ki guzar gayā hai pyāre tujhe dekhe ik zamāna
mujhe chāk-e-jeb-o-dāman se nahīñ munāsibat kuchh
ye junūñ hī ko mubārak rah-o-rasm-e-āmiyāna
tujhe hādsāt-e-paiham se bhī kyā milegā nādāñ
tirā dil agar ho zinda to nafas bhī tāziyāna
vo adā-e-dilbarī ho ki navā-e-āshiqāna
jo diloñ ko fat.h kar le vahī fāteh-e-zamāna