Jigar Moradabadi

junun kam justuju kam tishnagi kam

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
junūñ kam justujū kam tishnagī kam
nazar aa.e na kyuuñ dariyā bhī shabnam
ba-hamdillāh tū hai jis kā hamdam
kahāñ us qalb meñ gunjā.ish-e-ġham
tavajjoh be-nihāyat aur nazar kam
ḳhushā ye iltifāt-e-husn-e-barham
mirī āñkhoñ ne dekhā hai vo aalam
ki har aalam hai laġhzish-hā-e-paiham
ḳhatā kyūñkar na hotī āfiyat-soz
ki jannat hī na thī merāj-e-ādam
ḳhushā ye nisbat-e-husn-o-mohabbat
jahāñ baiThe nazar aa.e hamīñ ham
vo ik husn-e-sarāpā allāh allāh
ki jis kī har adā aalam hī aalam
kahāñ pahlū-e-ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb
kahāñ ik nāznīñ doshīza shabnam
masarrat zindagī kā dūsrā naam
masarrat kī tamannā mustaqil ġham
Top Urdushayar.com