Jigar Moradabadi

sitam-e-kaamyab ne mara

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
sitam-e-kāmyāb ne maarā
karam-e-lā-javāb ne maarā
ḳhud huī gum hameñ bhī kho baiThī
nigah-e-bāzyāb ne maarā
zindagī thī hijāb ke dam tak
barhami-e-hijāb ne maarā
ishq ke har sukūn-e-āḳhir ko
husn ke iztirāb ne maarā
ḳhud nazar ban ga.ī hijāb-e-nazar
haa.e us be-hijāb ne maarā
maiñ tirā aks huuñ ki tū merā
is savāl-o-javāb ne maarā
koī pūchhe ki rah ke pahlū meñ
tiir kyā iztirāb ne maarā
bach rahā jo tirī tajallī se
us ko tere hijāb ne maarā
ab nazar ko kahīñ qarār nahīñ
kāvish-e-intiḳhāb ne maarā
sab ko maarā 'jigar' ke sheroñ ne
aur 'jigar' ko sharāb ne maarā
Top Urdushayar.com