Jigar Moradabadi

aaj kya haal hai yarab sar-e-mahfil mera

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
aaj kyā haal hai yārab sar-e-mahfil merā
ki nikāle liye jaatā hai koī dil merā
soz-e-ġham dekh na barbād ho hāsil merā
dil kī tasvīr hai har ā.īna-e-dil merā
sub.h tak hijr meñ kyā jāniye kyā hotā hai
shaam hī se mire qaabū meñ nahīñ dil merā
mil ga.ī ishq meñ īzā-talabī se rāhat
ġham hai ab jaan mirī dard hai ab dil merā
paayā jaatā hai tirī shoḳhi-e-raftār kā rañg
kaash pahlū meñ dhaḌaktā hī rahe dil merā
haa.e us mard kī qismat jo huā dil kā sharīk
haa.e us dil kā muqaddar jo banā dil merā
kuchh khaTaktā to hai pahlū meñ mire rah rah kar
ab ḳhudā jaane tirī yaad hai yā dil merā
Top Urdushayar.com