raaz jo sīna-e-fitrat meñ nihāñ hotā hai
sab se pahle dil-e-shā.ir pe ayaañ hotā hai
saḳht ḳhūñ-rez jab āshob-e-jahāñ hotā hai
nahīñ mālūm ye insān kahāñ hotā hai
jab koī hādsa-e-kaun-o-makāñ hotā hai
zarra zarra merī jānib nigarāñ hotā hai
jo nazar-karda-e-sāhab-nazrāñ hotā hai
usī dīvāne ke qadmoñ pe jahāñ hotā hai
jab koī ishq meñ barbād-e-jahāñ hotā hai
mujh ko mahsūs ḳhud apnā hī ziyāñ hotā hai
mutazalzal hai adab-gāh-e-mohabbat kī zamīñ
koī dekhe to ye hañgāma kahāñ hotā hai
kahīñ aisā to nahīñ vo bhī ho koī āzār
tujh ko jis chiiz pe rāhat kā gumāñ hotā hai
dil ġhanī ho to har ik ranj bhī dil kī rāhat
zehn muflis ho to har suud ziyāñ hotā hai
imtihāñ-gāh-e-mohabbat meñ na rakkhe vo qadam
maut ke naam se jis ko ḳhafaqāñ hotā hai
yahī vo manzil-e-dushvār hai jis manzil meñ
ḳhatm har marhala-e-sūd-o-ziyāñ hotā hai
har qadam mārka-e-karb-o-balā hai darpesh
har nafas sāneha-e-marg-e-javāñ hotā hai
naaz jis ḳhāk-e-vatan par thā mujhe aah 'jigar'
usī jannat pe jahannam kā gumāñ hotā hai