shā.er-e-fitrat huuñ jab bhī fikr farmātā huuñ maiñ
ruuh ban kar zarre zarre meñ samā jaatā huuñ maiñ
aa ki tujh bin is tarah ai dost ghabrātā huuñ maiñ
jaise har shai meñ kisī shai kī kamī paatā huuñ maiñ
jis qadar afsāna-e-hastī ko dohrātā huuñ maiñ
aur bhī be-gāna-e-hastī huā jaatā huuñ maiñ
jab makān-o-lā-makāñ sab se guzar jaatā huuñ maiñ
allāh allāh tujh ko ḳhud apnī jagah paatā huuñ maiñ
terī sūrat kā jo ā.īna use paatā huuñ maiñ
apne dil par aap kyā kyā naaz farmātā huuñ maiñ
yak-ba-yak ghabrā ke jitnī duur haT aatā huuñ maiñ
aur bhī us shoḳh ko nazdīk-tar paatā huuñ maiñ
merī hastī shauq-e-paiham merī fitrat iztirāb
koī manzil ho magar guzrā chalā jaatā huuñ maiñ
hā.e-rī majbūriyāñ tark-e-mohabbat ke liye
mujh ko samjhāte haiñ vo aur un ko samjhātā huuñ maiñ
merī himmat dekhnā merī tabī.at dekhnā
jo sulajh jaatī hai gutthī phir se uljhātā huuñ maiñ
husn ko kyā dushmanī hai ishq ko kyā bair hai
apne hī qadmoñ kī ḳhud hī Thokareñ khātā huuñ maiñ
terī mahfil tere jalve phir taqāzā kyā zarūr
le uThā jaatā huuñ zālim le chalā jaatā huuñ maiñ
tā-kujā ye parda-dārī-ha-e-ishq-o-lāf-e-husn
haañ sambhal jaa.eñ do-ālam hosh meñ aatā huuñ maiñ
merī ḳhātir ab vo taklīf-e-tajalli kyuuñ kareñ
apnī gard-e-shauq meñ ḳhud hī chhupā jaatā huuñ maiñ
dil mujassam sher-o-naġhma vo sarāpā rañg-o-bū
kyā fazā.eñ haiñ ki jin meñ hal huā jaatā huuñ maiñ
tā-kujā zabt-e-mohabbat tā-kujā dard-e-firāq
rahm kar mujh par ki terā raaz kahlātā huuñ maiñ
vāh-re shauq-e-shahādat kū-e-qātil kī taraf
gungunātā raqs kartā jhūmtā jaatā huuñ maiñ
yā vo sūrat ḳhud jahān-e-rañg-o-bū mahkūm thā
yā ye aalam apne saa.e se dabā jaatā huuñ maiñ
dekhnā is ishq kī ye turfa-kārī dekhnā
vo jafā karte haiñ mujh par aur sharmātā huuñ maiñ
ek dil hai aur tūfān-e-havādis ai 'jigar'
ek shīsha hai ki har patthar se Takrātā huuñ maiñ