allāh re is gulshan-e-ījād kā aalam
jo said kā aalam vahī sayyād kā aalam
uf rañg-e-ruḳh-e-bāni-e-bedād kā aalam
jaise kisī mazlūm kī fariyād kā aalam
pahroñ se dhaḌakne kī bhī aatī nahīñ āvāz
kyā jāniye kyā hai dil-e-nāshād kā aalam
mansūr to sar de ke subuk ho gayā lekin
jallād se pūchhe koī jallād kā aalam
maiñ aur tire hijr-e-musalsal kī shikāyat
terā hī to aalam hai terī yaad kā aalam
kyā jāniye kyā hai mirī merāj-e-maqāmī
aalam to hai sirf ik mirī uftād kā aalam
arbāb-e-chaman se nahīñ pūchho ye chaman se
kahte haiñ kise nik.hat-e-barbād kā aalam
kyuuñ ātish-e-gul mere nasheman ko jalā.e
tinkoñ meñ hai ḳhud barq-e-chaman-zād kā aalam