Jigar Moradabadi

hum ko miTa sake ye zamane mein dam nahin

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
ham ko miTā sake ye zamāne meñ dam nahīñ
ham se zamāna ḳhud hai zamāne se ham nahīñ
be-fā.eda alam nahīñ be-kār ġham nahīñ
taufīq de ḳhudā to ye nemat bhī kam nahīñ
merī zabāñ pe shikva-e-ahl-e-sitam nahīñ
mujh ko jagā diyā yahī ehsān kam nahīñ
yā rab hujūm-e-dard ko de aur vus.ateñ
dāman to kyā abhī mirī āñkheñ bhī nam nahīñ
shikva to ek chheḌ hai lekin haqīqatan
terā sitam bhī terī ināyat se kam nahīñ
ab ishq us maqām pe hai justujū-navard
saaya nahīñ jahāñ koī naqsh-e-qadam nahīñ
miltā hai kyuuñ maza sitam-e-rozgār meñ
terā karam bhī ḳhud jo sharīk-e-sitam nahīñ
marg-e-'jigar' pe kyuuñ tirī āñkheñ haiñ ashk-rez
ik sāneha sahī magar itnā aham nahīñ
Top Urdushayar.com