yādash-ba-ḳhair jab vo tasavvur meñ aa gayā
sher o shabāb o husn kā dariyā bahā gayā
jab ishq apne markaz-e-aslī pe aa gayā
ḳhud ban gayā hasīn do aalam pe chhā gayā
jo dil kā raaz thā use kuchh dil hī pā gayā
vo kar sake bayāñ na hamīñ se kahā gayā
nāseh fasāna apnā hañsī meñ uḌā gayā
ḳhush-fikr thā ki saaf ye pahlū bachā gayā
apnā zamāna aap banāte haiñ ahl-e-dil
ham vo nahīñ ki jin ko zamāna banā gayā
dil ban gayā nigāh nigah ban ga.ī zabāñ
aaj ik sukūt-e-shauq qayāmat hī Dhā gayā
merā kamāl-e-sher bas itnā hai ai 'jigar'
vo mujh pe chhā ga.e maiñ zamāne pe chhā gayā