sabhī andāz-e-husn pyāre haiñ
ham magar sādgī ke maare haiñ
us kī rātoñ kā intiqām na pūchh
jis ne hañs hañs ke din guzāre haiñ
ai sahāroñ kī zindagī vaalo
kitne insān be-sahāre haiñ
lāla-o-gul se tujh ko kyā nisbat
nā-mukammal se isti.āre haiñ
ham to ab Duub kar hī ubhreñge
vo raheñ shaad jo kināre haiñ
shab-e-furqat bhī jagmagā uTThī
ashk-e-ġham haiñ ki māh-pāre haiñ
ātish-e-ishq vo jahannam hai
jis meñ firdaus ke nazāre haiñ
vo hamīñ haiñ ki jin ke hāthoñ ne
gesū-e-zindagī sañvāre haiñ
husn kī be-niyāziyoñ pe na jā
be-ishāre bhī kuchh ishāre haiñ