Jigar Moradabadi

KHusha bedad KHun-e-hasrat-e-bedad hota hai

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
ḳhushā bedād ḳhūn-e-hasrat-e-bedād hotā hai
sitam ījād karte ho karam ījād hotā hai
ba-zāhir kuchh nahīñ kahte magar irshād hotā hai
ham us ke haiñ jo ham par har tarah barbād hotā hai
mire nāshād rahne par vo jab nāshād hotā hai
batā.ūñ kyā jo merā ālam-e-fariyād hotā hai
yahī hai rāz-e-āzādī jahāñ tak yaad hotā hai
ki nazreñ qaid hotī haiñ to dil āzād hotā hai
dil-e-āshiq bhī kyā majmua-e-azdād hotā hai
udhar ābād hotā hai idhar barbād hotā hai
vo har ik vāqi.a jo sūrat-e-uftād hotā hai
kabhī pahle bhī dekhā thā kuchh aisā yaad hotā hai
baḌī mushkil se paidā ek vo ādam-zād hotā hai
jo ḳhud āzād jis kā har nafas āzād hotā hai
nigāheñ kyā ki pahroñ dil bhī vāqif ho nahīñ saktā
zabān-e-husn se aisā bhī kuchh irshād hotā hai
tumhīñ ho ta.ana-zan mujh par tumhīñ insāf se kah do
koī apnī ḳhushī se ḳhānamāñ-barbād hotā hai
ye maanā nañg-e-pābandī se kyā āzād ko matlab
magar vo sharm-e-āzādī se bhī āzād hotā hai
tasavvur meñ hai kuchh aisā tirī tasvīr kā aalam
ki jaise ab lab-e-nāzuk se kuchh irshād hotā hai
koī had hī nahīñ shāyad mohabbat ke fasāne kī
sunātā jā rahā hai jis ko jitnā yaad hotā hai
Top Urdushayar.com