Jigar Moradabadi

ye hai mai-kada yahan rind hain yahan sab ka saqi imam hai

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
ye hai mai-kada yahāñ riñd haiñ yahāñ sab kā saaqī imaam hai
ye haram nahīñ hai ai shaiḳh jī yahāñ pārsā.ī harām hai
jo zarā sī pī ke bahak gayā use mai-kade se nikāl do
yahāñ tañg-nazar kā guzar nahīñ yahāñ ahl-e-zarf kā kaam hai
koī mast hai koī tishna-lab to kisī ke haath meñ jaam hai
magar is pe koī kare bhī kyā ye to mai-kade kā nizām hai
ye janāb-e-shaiḳh kā falsafa hai ajiib saare jahān se
jo vahāñ piyo to halāl hai jo yahāñ piyo to harām hai
isī kā.enāt meñ ai 'jigar' koī inqalāb uThegā phir
ki buland ho ke bhī aadmī abhī ḳhvāhishoñ kā ġhulām hai
Top Urdushayar.com