kaam āḳhir jazba-e-be-iḳhtiyār aa hī gayā
dil kuchh is sūrat se taḌpā un ko pyaar aa hī gayā
jab nigāheñ uTh ga.iiñ allāh-rī merāj-shauq
dekhtā kyā huuñ vo jān-e-intizār aa hī gayā
haa.e ye husn-e-tasavvur kā fareb-e-rañg-o-bū
maiñ ye samjhā jaise vo jān-e-bahār aa hī gayā
haañ sazā de ai ḳhudā-e-ishq ai taufīq-e-ġham
phir zabān-e-be-adab par zikr yaar aa hī gayā
is tarah ḳhush huuñ kisī ke vāda-e-fardā pe maiñ
dar-haqīqat jaise mujh ko e'tibār aa hī gayā
haa.e kāfir-dil kī ye kāfir junūñ-añgeziyāñ
tum ko pyaar aa.e na aa.e mujh ko pyaar aa hī gayā
dard ne karvaT hī badlī thī ki dil kī aaḌ se
daf.atan parda uThā aur parda-dār aa hī gayā
dil ne ik naala kiyā aaj is tarah dīvāna-vār
baal bikhrā.e koī msatānā-vār aa hī gayā
jaan hī de dī 'jigar' ne aaj pā-e-yār par
umr bhar kī be-qarārī ko qarār aa hī gayā