husn-e-kāfir-shabāb kā aalam
sar se pā tak sharāb kā aalam
araq-ālūd chehra-e-tābāñ
shabnam-o-āftāb kā aalam
vo mirī arz-e-shauq-e-behad par
kuchh hayā kuchh itaab kā aalam
allāh allāh vo imtizāj-e-latīf
shoḳhiyoñ meñ hijāb kā aalam
hama nūr-o-surūr kī duniyā
hama husn-o-shabāb kā aalam
vo lab-e-jūebār o mausam-e-gul
vo shab-e-māhtāb kā aalam
zānū-e-shauq par vo pichhle pahar
nargis-e-nīm-ḳhvāb kā aalam
der tak iḳhtilāt-e-rāz-o-niyāz
yak-ba-yak ijtināb kā aalam
laakh rañgīñ-bayāniyoñ pe mirī
ek saada javāb kā aalam
ġham kī har mauj mauj-e-tūfāñ-ḳhez
dil kā aalam habāb kā aalam
dil-e-mutrib samajh sake shāyad
ik shikasta rubāb kā aalam
vo samāñ aaj bhī hai yaad 'jigar'
haañ magar jaise ḳhvāb kā aalam