Jigar Moradabadi

niyaz o naz ke jhagDe miTae jate hain

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
niyāz o naaz ke jhagḌe miTā.e jaate haiñ
ham un meñ aur vo ham meñ samā.e jaate haiñ
shurū-e-rāh-e-mohabbat are ma.āz-allāh
ye haal hai ki qadam Dagmagā.e jaate haiñ
ye nāz-e-husn to dekho ki dil ko taḌpā kar
nazar milāte nahīñ muskurā.e jaate haiñ
mire junūn-e-tamannā kā kuchh ḳhayāl nahīñ
lajā.e jaate haiñ dāman chhuḌā.e jaate haiñ
jo dil se uThte haiñ sho.ale vo rañg ban ban kar
tamām manzar-e-fitrat pe chhā.e jaate haiñ
maiñ apnī aah ke sadqe ki merī aah meñ bhī
tirī nigāh ke andāz paa.e jaate haiñ
ravāñ davāñ liye jaatī hai ārzū-e-visāl
kashāñ kashāñ tire nazdīk aa.e jaate haiñ
kahāñ manāzil-e-hastī kahāñ ham ahl-e-fanā
abhī kuchh aur ye tohmat uThā.e jaate haiñ
mirī talab bhī usī ke karam kā sadqa hai
qadam ye uThte nahīñ haiñ uThā.e jaate haiñ
ilāhī tark-e-mohabbat bhī kyā mohabbat hai
bhulāte haiñ unheñ vo yaad aa.e jaate haiñ
sunā.e the lab-e-nai se kisī ne jo naġhme
lab-e-'jigar' se mukarrar sunā.e jaate haiñ
Top Urdushayar.com