Jigar Moradabadi

ishq-e-la-mahdud jab tak rahnuma hota nahin

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
ishq-e-lā-mahdūd jab tak rahnumā hotā nahīñ
zindagī se zindagī kā haq adā hotā nahīñ
be-karāñ hotā nahīñ be-intihā hotā nahīñ
qatra jab tak baḌh ke qulzum-āshnā hotā nahīñ
us se baḌh kar dost koī dūsrā hotā nahīñ
sab judā ho jaa.eñ lekin ġham judā hotā nahīñ
zindagī ik hādsa hai aur kaisā hādsa
maut se bhī ḳhatm jis kā silsila hotā nahīñ
kaun ye nāseh ko samjhā.e ba-tarz-e-dil-nashīñ
ishq sādiq ho to ġham bhī be-mazā hotā nahīñ
dard se māmūr hotī jā rahī hai kā.enāt
ik dil-e-insāñ magar dard-āshnā hotā nahīñ
mere arz-e-ġham pe vo kahnā kisī kā haa.e haa.e
shikva-e-ġham sheva-e-ahl-e-vafā hotā nahīñ
us maqām-e-qarb tak ab ishq pahuñchā hī jahāñ
dīda-o-dil kā bhī aksar vāstā hotā nahīñ
har qadam ke saath manzil lekin is kā kyā ilaaj
ishq hī kam-baḳht manzil-āshnā hotā nahīñ
allāh allāh ye kamāl aur irtibāt-e-husn-o-ishq
fāsle hoñ laakh dil se dil judā hotā nahīñ
kyā qayāmat hai ki is daur-e-taraqqī meñ 'jigar'
aadmī se aadmī kā haq adā hotā nahīñ
Top Urdushayar.com