ye zarre jin ko ham ḳhāk-e-rah-e-manzil samajhte haiñ
zabān-e-hāl rakhte haiñ zabān-e-dil samajhte haiñ
jise sab log husn o ishq kī manzil samajhte haiñ
buland us se bhī ham apnā maqām-e-dil samajhte haiñ
haqīqat meñ jo rāz-e-dūri-e-manzil samajhte haiñ
unhīñ ko ham sulūk-e-ishq meñ kāmil samajhte haiñ
hameñ kyuuñ vo jafā-e-ḳhās ke qābil samajhte haiñ
ye rāz-e-dil hai is ko mahramān-e-dil samajhte haiñ
isī ik jurm par aġhyār meñ barpā qayāmat hai
ki ham bedār haiñ aur apnā mustaqbil samajhte haiñ
nigāhoñ meñ kuchh aise bas ga.e haiñ husn ke jalve
koī mahfil ho lekin ham tirī mahfil samajhte haiñ
koī maane na maane is ko lekin ye haqīqat hai
ham apnī zindagī meñ ġhaib ko shāmil samajhte haiñ
ye narm o nā-tavāñ maujeñ ḳhudī kā raaz kyā jāneñ
qadam lete haiñ tūfāñ azmat-e-sāhil samajhte haiñ
hukūmat ke mazālim jab se in āñkhoñ ne dekhe haiñ
'jigar' ham bamba.ī ko kūcha-e-qātil samajhte haiñ