kasrat meñ bhī vahdat kā tamāshā nazar aayā
jis rañg meñ dekhā tujhe yaktā nazar aayā
jab us ruḳh-e-pur-nūr kā jalva nazar aayā
ka.aba nazar aayā na kalīsā nazar aayā
ye husn ye shoḳhī ye karishma ye adā.eñ
duniyā nazar aa.ī mujhe to kyā nazar aayā
ik sarḳhushi-e-ishq hai ik be-ḳhudī-e-shauq
āñkhoñ ko ḳhudā jaane mirī kyā nazar aayā
jab dekh na sakte the to dariyā bhī thā qatra
jab aañkh khulī qatra bhī dariyā nazar aayā
qurbān tirī shān-e-ināyat ke dil o jaañ
is kam-nigahī par mujhe kyā kyā nazar aayā
har rañg tire rañg meñ Duubā huā niklā
har naqsh tirā naqsh-e-kaf-e-pā nazar aayā
āñkhoñ ne dikhā dī jo tire ġham kī haqīqat
aalam mujhe saarā tah-o-bālā nazar aayā
har jalve ko dekhā tire jalvoñ se munavvar
har bazm meñ tū anjuman-ārā nazar aayā