har haqīqat ko ba-andāz-e-tamāshā dekhā
ḳhuub dekhā tire jalvoñ ko magar kyā dekhā
justujū meñ tirī ye hāsil-e-saudā dekhā
ek ik zarre kā āġhosh-e-talab vā dekhā
ā.īna-ḳhāna-e-ālam meñ kaheñ kyā dekhā
tere dhoke meñ ḳhud apnā hī tamāshā dekhā
ham ne aisā na koī dekhne vaalā dekhā
jo ye kah de ki tirā husn sarāpā dekhā
dil-e-āgāh meñ kyā kahiye 'jigar' kyā dekhā
lahreñ letā huā ik qatre meñ dariyā dekhā
koī shā.ista-o-shāyān-e-ġham-e-dil na milā
ham ne jis bazm meñ dekhā use tanhā dekhā