dil ko sukūn ruuh ko ārām aa gayā
maut aa ga.ī ki dost kā paiġhām aa gayā
jab koī zikr-e-gardish-e-ayyām aa gayā
be-iḳhtiyār lab pe tirā naam aa gayā
ġham meñ bhī hai surūr vo hañgām aa gayā
shāyad ki daur-e-bāda-e-gulfām aa gayā
dīvāngī ho aql ho ummīd ho ki yaas
apnā vahī hai vaqt pe jo kaam aa gayā
dil ke muāmlāt meñ nāseh shikast kyā
sau baar husn par bhī ye ilzām aa gayā
sayyād shādmāñ hai magar ye to soch le
maiñ aa gayā ki saaya tah-e-dām aa gayā
dil ko na pūchh mārka-e-husn-o-ishq meñ
kyā jāniye ġharīb kahāñ kaam aa gayā
ye kyā maqām-e-ishq hai zālim ki in dinoñ
aksar tire baġhair bhī ārām aa gayā
ahbāb mujh se qat-e-ta.alluq kareñ 'jigar'
ab āftāb-e-zīst lab-e-bām aa gayā