nigāhoñ kā markaz banā jā rahā huuñ
mohabbat ke hāthoñ luTā jā rahā huuñ
maiñ qatra huuñ lekin ba-āġhosh-e-dariyā
azal se abad tak bahā jā rahā huuñ
mubārak mubārak mirī ye fanā.eñ
do-ālam pe chhāyā chalā jā rahā huuñ
vahī husn jis ke haiñ ye sab mazāhir
usī husn meñ hal huā jā rahā huuñ
ye kis kī taraf se ye kis kī taraf ko
maiñ ham-dosh mauj-e-fanā jā rahā huuñ
na jaane kahāñ se na jaane kidhar ko
bas ik apnī dhun meñ uḌā jā rahā huuñ
mujhe rok saktā ho koī to roke
ki chhup kar nahīñ barmalā jā rahā huuñ
mere paas aao ye kyā sāmne huuñ
mirī samt dekho ye kyā jā rahā huuñ
nigāhoñ meñ manzil mirī phir rahī hai
yūñhī girtā paḌtā chalā jā rahā huuñ
tirī mast nazreñ ġhazab Dhā rahī haiñ
ye aalam hai jaise uḌā jā rahā huuñ
kidhar hai tū ai ġhairat-e-husn ḳhud meñ
mohabbat ke hāthoñ bikā jā rahā huuñ
na aurāk-e-hastī na ehsās-e-mastī
jidhar chal paḌā huuñ chalā jā rahā huuñ
na sūrat na ma.anī na paidā na pinhāñ
ye kis husn meñ gum huā jā rahā huuñ