vo kāfir āshnā nā-āshnā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
hamārī ibtidā tā intihā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
ta.ajjub kyā agar rasm-e-vafā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
ki husn o ishq kā har mas.ala yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
kahīñ zarra kahīñ sahrā kahīñ qatra kahīñ dariyā
mohabbat aur us kā silsila yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
vo mujh se pūchhte haiñ ek maqsad merī hastī kā
batā.ūñ kyā ki merā mudda.ā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
ham un se kyā kaheñ vo jāneñ un kī maslahat jaane
hamārā hāl-e-dil to barmalā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
na pā lenā tirā āsāñ na kho denā tirā mumkin
musībat meñ ye jān-e-mubtalā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
lagā de aag o barq-e-tajallī dekhtī kyā hai
nigāh-e-shauq zālim nā-rasā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
ilāhī kis tarah aql o junūñ ko ek jā kar luuñ
ki manshā-e-nigāh ishva-zā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
'majāzī' se 'jigar' kah do are o aql ke dushman
muqir ho yā koī munkir ḳhudā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī