Jigar Moradabadi

ishq ko be-naqab hona tha

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
ishq ko be-naqāb honā thā
aap apnā javāb honā thā
mast-e-jām-e-sharāb honā thā
be-ḳhud-e-iztirāb honā thā
terī āñkhoñ kā kuchh qusūr nahīñ
haañ mujhī ko ḳharāb honā thā
aao mil jaao muskurā ke gale
ho chukā jo itaab honā thā
kūcha-e-ishq meñ nikal aayā
jis ko ḳhāna-ḳharāb honā thā
mast-e-jām-e-sharāb ḳhaak hote
ġharq-e-jām-e-sharāb honā thā
dil ki jis par haiñ naqsh-e-rañgā-rañg
us ko saada kitāb honā thā
ham ne nākāmiyoñ ko DhūñD liyā
āḳhirash kāmyāb honā thā
haa.e vo lamha-e-sukūñ ki jise
mahshar-e-iztirāb honā thā
nigah-e-yār ḳhud taḌap uThtī
shart-e-avval ḳharāb honā thā
kyuuñ na hotā sitam bhī be-pāyāñ
karam-e-be-hisāb honā thā
kyuuñ nazar hairatoñ meñ Duub ga.ī
mauj-e-sad-iztirāb honā thā
ho chukā roz-e-avvalīñ hī 'jigar'
jis ko jitnā ḳharāb honā thā
Top Urdushayar.com