rakhte haiñ ḳhizr se na ġharaz rahnumā se ham
chalte haiñ bach ke duur har ik naqsh-e-pā se ham
mānūs ho chale haiñ jo dil kī sadā se ham
shāyad ki jī uThe tirī āvāz-e-pā se ham
yā rab nigāh-e-shauq ko de aur vus.ateñ
ghabrā uThe jamāl-e-jahat-āshnā se ham
maḳhsūs kis ke vāste hai rahmat-e-tamām
pūchheñge ek din ye kisī pārsā se ham
o mast-e-nāz husn tujhe kuchh ḳhabar bhī hai
tujh par nisār hote haiñ kis kis adā se ham
ye kaun chhā gayā hai dil o diida par ki aaj
apnī nazar meñ aap haiñ nā-āshnā se ham