ye din bahār ke ab ke bhī raas aa na sake
ki ġhunche khil to sake khil ke muskurā na sake
mirī tabāhī-e-dil par to rahm khā na sake
jo raushnī meñ rahe raushnī ko pā na sake
na jaane aah ki un āñsuoñ pe kyā guzrī
jo dil se aañkh tak aa.e mizha tak aa na sake
rah-e-ḳhulūs-e-mohabbat ke hādsāt-e-jahāñ
mujhe to kyā mire naqsh-e-qadam miTā na sake
kareñge mar ke baqā-e-davām kyā hāsil
jo zinda rah ke maqām-e-hayāt pā na sake
nayā zamāna banāne chale the dīvāne
na.ī zamīn nayā āsmāñ banā na sake