Ali Muthar Ashar

ek turfa tamasha sar-e-bazar banega

Ali Muthar Ashar

ik turfa tamāsha sar-e-bāzār banegā
jo shaḳhs bhī ā.īna-e-kirdār banegā
ye baat bhī tai ho ga.ī dahshat-zadagāñ meñ
jo sañg-ba-dast aa.egā sardār banegā
rañgoñ se na rakhiye kisī sūrat kī tavaqqo
vo ḳhuun kā qatra hai jo shahkār banegā
maiñ us ke panapne kī duā maañg rahā huuñ
bachche ke ye tevar haiñ ki fankār banegā
phir laḳht-e-jigar ko.elā le aayā kahīñ se
ab dekhiye kyā kyā sar-e-dīvār banegā
yaksūī se jab us kī taraf dekhoge 'ash.ar'
kuchh der meñ mahtāb ruḳh-e-yār banegā
Top Urdushayar.com