Ram Riyaz

zindan mein bhi wahi lab-o-ruKHsar dekhte

Ram Riyaz

1933-1990
zindāñ meñ bhī vahī lab-o-ruḳhsār dekhte
darvāza dekhte kabhī dīvār dekhte
pastī-nashīn ho ke maiñ kitnā buland thā
gardan jhukā ke tum mirā me.aar dekhte
sab dauḌte the us kī ayādat ke vāste
jis ko zarā sā niiñd se bedār dekhte
dil baiThne lage to nigāheñ bhī thak ga.iiñ
kab tak tirī taraf tire bīmār dekhte
kis darja aane vaale zamāne kā ḳhauf thā
bajtā gajar to shaam ke āsār dekhte
ab kyā kaheñ vo ajnabī kaisā thā ham jise
āñkhoñ pe haath rakh ke bhī lāchār dekhte
tere sivā bhī kuchh nazar aanā muhāl thā
duniyā ko dekhte ki terā pyaar dekhte
nā-āshnā haiñ 'rām' jo ġhurbat ke naam se
vo kaash mere daur ke fankār dekhte
Top Urdushayar.com