sarmā thā magar phir bhī vo din kitne baḌe the
us chāñd se jab pahle-pahal nain laḌe the
raste baḌe dushvār the aur kos kaḌe the
lekin tirī āvāz pe ham dauḌ paḌe the
bahtā thā mire paañv tale ret kā dariyā
aur dhuup ke neze mirī nas nas meñ gaḌe the
peḌoñ pe kabhī ham ne bhī pathrāv kiyā thā
shāḳhoñ se magar sūkhe hue paat jhaḌe the
ai 'rām' vo kis tarah lage paar musāfir
jin ke sar-o-sāmān ye miTTī ke ghaḌe the