Ram Riyaz

mujhe kaif-e-hijr aziz hai tu zar-e-visal sameT le

Ram Riyaz

1933-1990
mujhe kaif-e-hijr aziiz hai tū zar-e-visāl sameT le
maiñ jo terā koī gila karūñ mirī kyā majāl sameT le
mire harf o saut bhī chhīn le mire sabr-o-zabt ke saath tū
mirā koī maal burā nahīñ merā saarā maal sameT le
ye tamām din kī masāfateñ ye tamām raat kī āfateñ
mujhe in dinoñ se najāt de mirā ye vabāl sameT le
sabhī reza reza ināyateñ usī ek kī haiñ rivāyateñ
vo jo lamha lamha bikher de vo jo saal saal sameT le
tire intizār meñ is tarah mirā ahad-e-shauq guzar gayā
sar-e-shām jaise bisāt-e-dil koī ḳhasta-hāl sameT le
tire ruḳh pe chāñd bhī dard hai tirā is meñ kaun sā harj hai
tū agar ye hāshiya chhoḌ de to agar ye baal sameT le
ye hamārā shauq thā ham ne apne guloñ meñ parinde sajā liye
use iḳhtiyār hai 'rām' jab bhī vo chāhe jaal sameT le
Top Urdushayar.com