Ram Riyaz

zarra insan kabhi dasht-nagar lagta hai

Ram Riyaz

1933-1990
zarra insān kabhī dasht-nagar lagtā hai
ba.az auqāt hameñ aisā bhī Dar lagtā hai
ham-nashīñ terī bhī āñkhoñ meñ jhalaktā hai dhuāñ
tū bhī min-jumla-e-arbāb-e-nazar lagtā hai
koī letā hai tirā naam to ruk jaatā huuñ
ab tirā zikr bhī sadiyoñ kā safar lagtā hai
ham pe bedād-garo sañg uThānā hai fuzūl
kahīñ uftāda daraḳhtoñ pe samar lagtā hai
mere dil meñ baḌe ā.īne haiñ tasvīreñ haiñ
sach batānā tumheñ kaisā mirā ghar lagtā hai
shab ke mahbūs haiñ sone kī ijāzat hī nahīñ
aañkh lagtī hai to dīvār se sar lagtā hai
'rām' is daur meñ qāmat kī bulandī ke liye
sar pe insān ke surḳhāb kā par lagtā hai
Top Urdushayar.com