muskurātī āñkhoñ ko dostoñ kī nam karnā
raam aise afsāne chhoḌ do raqam karnā
ab kahāñ vo pahlī sī fursateñ mayassar haiñ
saarā din safar karnā saarī raat ġham karnā
sabr kī rivāyat meñ jabr kī adālat meñ
lab kabhī na vā karnā sar kabhī na zaḳhm karnā
maiñ gunāhgāroñ meñ sāhab-e-tarīqat huuñ
dāḳhilī shahādat par merā sar qalam karnā
zindagī to sapnā hai kaun 'rām' apnā hai
kyā kisī ko dukh denā kyā kisī kā ġham karnā