ruuh meñ ghor añdhere ko utarne na diyā
ham ne insān meñ insān ko marne na diyā
tere baad aisī bhī tanhā.ī kī manzil aa.ī
ki mirā saath kisī rāhguzar ne na diyā
kaun thā kis ne yahāñ dhuup ke bādal barsā.e
aur tire husn kī chāñdī ko nikharne na diyā
pyaas kī aag lagī bhuuk kī āñdhī uTThī
ham ne phir jism kā shīrāza bikharne na diyā
zindagī kashmakash-e-vaqt meñ guzrī apnī
din ne jiine na diyā raat ne marne na diyā
ashk barsā.e kabhī ḳhuun bahāyā ham ne
ġham kā dariyā kisī mausam meñ utarne na diyā