Chiragh Hasan Hasrat

ya-rab gham-e-hijran mein itna to kiya hota

Chiragh Hasan Hasrat

Poonch, Jammu and Kashmir, India

1904-1955
yā-rab ġham-e-hijrāñ meñ itnā to kiyā hotā
jo haath jigar par hai vo dast-e-duā hotā
ik ishq kā ġham aafat aur us pe ye dil aafat
yā ġham na diyā hotā yā dil na diyā hotā
nākām-e-tamannā dil is soch meñ rahtā hai
yuuñ hotā to kyā hotā yuuñ hotā to kyā hotā
ummīd to bañdh jaatī taskīn to ho jaatī
va.ada na vafā karte va.ada to kiyā hotā
ġhairoñ se kahā tum ne ġhairoñ se sunā tum ne
kuchh ham se kahā hotā kuchh ham se sunā hotā
Top Urdushayar.com