jab se terā karam hai banda-navāz
soz hai soz aur na saaz hai saaz
maiñ huuñ aur merī be-par-o-bālī
dil hai aur dil kī jur.at-e-parvāz
husn kī barhamī ma.āz-allāh
gesuoñ ke bikharne kā andāz
zulf-e-barham jhukī huī nazreñ
gardan-e-nāz meñ kamand-e-niyāz
qadd-e-bālā o dāman-e-kotāh
manzil-e-ishq ke nasheb o farāz
qat.a hone lagā hai rishta-e-zīst
ai ġham-e-yār terī umr darāz