is tarah kar gayā dil ko mire vīrāñ koī
na tamannā koī baaqī hai na armāñ koī
har kalī meñ hai tire husn-e-dil-ārā kī numūd
ab ke dāman hī bachegā na girebāñ koī
mai-chakāñ lab nazar āvāra nigāheñ gustāḳh
yuuñ mire pahlū se uThā hai ġhazal-ḳhvāñ koī
zulf barham hai dil āshufta sabā āvāra
ḳhvāb-e-hastī sā nahīñ ḳhvāb pareshāñ koī
naġhma-e-dard se ho jaatā hai aalam māmūr
is tarah chheḌtā hai tār-e-rag-e-jāñ koī