hasrat-e-intizār-e-yār na pūchh
haa.e vo shiddat-e-intizār na pūchh
rañg-e-gulshan dam-e-bahār na pūchh
vahshat-e-qalb-e-be-qarār na pūchh
sadma-e-andalīb-e-zār na pūchh
talḳh anjāmi-e-bahār na pūchh
ġhair par lutf maiñ rahīn-e-sitam
mujh se ā.īna-e-bazm-e-yār na pūchh
de diyā dard mujh ko dil ke evaz
haa.e lutf-e-sitam-shi.ār na pūchh
phir huī yād-e-mai-kashī taaza
masti-e-abr-e-nau-bahār na pūchh
mujh ko dhokā hai tār-e-bistar kā
nā-tavāni-e-jism-e-yār na pūchh
maiñ huuñ nā-āshnā-e-vasl hunūz
mujh se kaif-e-visāl-e-yār na pūchh