Noon Meem Rashid

jo be-sabaat ho us sarKHushi ko kya kije

Noon Meem Rashid

Sialkot, Punjab, Pakistan

1910-1975
jo be-sabāt ho us sarḳhushī ko kyā kiije
ye zindagī hai to phir zindagī ko kyā kiije
rukā jo kaam to dīvāngī hī kaam aa.ī
na kaam aa.e to farzāngī ko kyā kiije
ye kyuuñ kaheñ ki hameñ koī rahnumā na milā
magar sarisht kī āvārgī ko kyā kiije
kisī ko dekh ke ik mauj lab pe aa to ga.ī
uThe na dil se to aisī hañsī ko kyā kiije
hameñ to aap ne soz-e-alam hī baḳhshā thā
jo nuur ban ga.ī us tīrgī ko kyā kiije
hamāre hisse kā ik jur.a bhī nahīñ baaqī
nigāh-e-dost kī mai-ḳhāngī ko kyā kiije
jahāñ ġharīb ko nān-e-javīñ nahīñ miltī
vahāñ hakīm ke dars-e-ḳhudī ko kyā kiije
visāl-e-dost se bhī kam na ho sakī 'rāshid'
azal se paa.ī huī tishnagī ko kyā kiije
Top Urdushayar.com